Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana

Janun ko zabt sikha loon to phir chaley jana

mein apna aap sanbhaa loon to phir chaley jana

usi tarah hai abhi
tishnagi in aankhon mein

mein in ki piyas bujha loon to phir chaley jana

dil ko ye waham k tum laut ker na aao ge

ye waham dil se
nikaaloon to phir chaley jana

bayaz-e-dil peh jo utri hai surat-e-ilham

wo ghazal tum ko suna loon to phir chaley jana

Comments