sochtaa huuN ke mahfuuz

sochtaa huuN ke mahfuuz
kar luuN ise apne siine meN
lafz-o-bayaaN kii tarah

thoRii hii der meN yeh
mulaaqaat bhii Khatm ho
jaayegi daastaaN kii tarah

yeh rafaaqat bahut
muKhtasar hai mirii
hamsafar laa mire haath
meiN haath de

tuu havaa-e-sar-e-rahguzar
kii tarah, maiN kisii nakhat-
e-raayegaaN kii tarah

haal zaalim shikaarii kii
suurat mujhe, vaqt kii ziin
se baandh kar le chalaa

mera maazii mire saath
chaltaa rahaa duur tak ek
majbuur maaN kii tarah

sang-e-aazaar kii baarisheN
tez thiiN, aur bachne ka koii
tariiqaa na thaa

raftaa raftaa sabhii ne
saroN par ko ’ii be-hisii taan
lii saayebaaN kii tarah

KhvahishoN ke samandar se
ek mauj uThhi, aur sail-e-
balaa-Khez bantii gayii

jism kashtii kii maanind
ulaTne lage, pairahan uR
gaye baadbaaN kii tarah
www.wordgolden.blogspot.com

Comments