ya dard mit gya to phir ya zakham sil gya to phir

ya dard mit gya to phir
ya zakham sil gya to phir

bichar k sochta hun mein
wo phir say mil gya to phir

mein titlion k shehar mein rahun to mujh ko fikr hai
wo phool jo khila nahin wo phool khil gya to phir

usay bhi kuch nahin mila mujhay bhi kuch nahin mila
tmam umar k liay ya dard mil gya to phir

isi liay mein aj tak sawal bhi na kar ska
agar meray swal ka jwab mil gya to phir

ya theek hai k laut kar meray hi dil mein aao gay
magar ya soch lo zra ya dil badal gya to phir

Comments