Dont Forget To Subscribe[Full Poetry Below]
https://www.youtube.com/syedasif
https://plus.google.com/u/0/+SyedAsif
Voice : Rj Atif masood
Mujh Se Pahle Tujhe Jis Shaḳhs Ne Chaha Us Ne
Shayad Ab Bhi Tira Gham Dil Se Laga Rakkha Ho
Aik Be-Nam Si Umeed Pe Ab Bhi Shayad
Apne Ḳhvabon Ke Jaziron Ko Saja Rakkha Ho
Main Ne Maana Ki Vo Begana-E-Paiman-E-Wafa
Kho Chuka Hai Jo Kisi Aur Ki RaAnayI Main
Shayad Ab LauT Ke AayE Na Tiri Mahfil Men
Aur Koi Dukh Na RulayE Tujhe TanhayI Men
Main Ne Maana Ki Shab O Roz Ke Hangamon Men
Vaqt Har Gham Ko Bhula Deta Hai Rafta Rafta
Chahe Ummid Ki ShamEn Hon Kay Yadon Ke Charagh
Mustaqil Bad Bujha Deta Hai Rafta Rafta
Phir Bhi Maazi Ka Ḳhayal Aata Hai Gahe Gahe
Muddaten Dard Ki Lau Kam To Nahin Kar Saktin
Zaḳhm Bhar JaayEn Magar Daagh To Rah Jaata Hai
Duriyon Se Kabhi Yaden To Nahin Mar Saktin
Ye Bhi Mumkin Hai Ki Ik Din Vo Pashiman Ho Kar
Tere Paas Aa.E Zamane Se Kinara Kar Le
Tu Ki Masum Bhi Hai Zud-Faramosh Bhi Hai
Us Ki Paiman-Shikani Ko Bhi Gavara Kar Le
Aur Main Jis Ne Tujhe Apna Masiha Samjha
Ek Zaḳhm Aur Bhi Pahle Ki Tarah Sah Ja.un
Jis Pe Pahle Bhi Ka.I Ahd-E-wafa TuuTe Hain
Isi Do-Rahe Pe Chup-Chap Khara Rah Jaun
Comments
Post a Comment