tu bhi chup hai maiN bhi chup huN yeh kaisi tanhaai hai
teray saath teri yaad aai, kya tu sach much aai hai
shayad woh din pehla din tha malkeN bojhal honay ka
mujh ko dekhtay hi jab un ki angRaai sharmaai hai
us din pehli baar hua tha mujh ko refaqat ka ehsaas
jab us kay malboos ki khushboo ghar pohonchane aai hai
husn se arz e shauq na karna husn ko zak pohonchana hai
hum ne arz e shauq na kar kay husn ko zak pohonchaai hai
hum ko aur to kuchh nahiN sujha albatta us kay dil meiN
soz e raqabat paida kar kay us ki neend uRaai hai
hum donoN mil kar bhi diloN ki tanhaai meiN bhaTkengay
paagal kuchh to soch yeh tu ne kaisi shakl banaai hai
ishq e paichaaN ki sandal par jaany kis din bel chaRhhy
kiari meiN paani Thehra hai deewaroN par kaai hai
husn kay jaany kitnay chehray husn kay jaane kitnay naam
ishq ka paisha husn parasti ishq baRa harjaai hai
aaj bohot din baad meiN apnay kamray tak aa nikla tha
juN hi darwaza khola hai us ki khushboo aai hai
aik to itna habs hai phir meiN saaNseiN rokay beTha huN
weerani ne jhaaRoo de kay ghar meiN dhool uRaai hai
Comments
Post a Comment